Kal raat maine ek sapna dekha,
Sapne mein dekha ek pyara bachcha
Hatho mein uske thi ek gudiya
Bade pyar se use tha wo puchkaarta
Phir na jane usko kya hua,
Gudiya ko usne phek diya,
Kaha, "Bahut hua ye khel"
Jaane kis baat ka usko gussa tha
Phir door ek kone mein baitha
Wo tooti gudiya ko dekhta
Kya kiya kyun kiya
Yeh sochkar rone lagta
Bematlab ki baat ko lekar
Apne pyari gudiya ko bhul gaya
Itna hi jab wo pyari thi
Phir kyun tu usse door gaya
Phir kyun tu usse door gaya
Kuchh yaad mujhe bhi aya tab
Jab main bhi chhota bachcha tha
Apne pyari gudiya ko bhi
Main yun hi sataya karta tha
Par gudiya pyari rooth gayi
Aur mujhko rota chhor gayi
Apne sath wo chhoti gudiya
Mera pyara bachpan loot gayi
Sapne se baahar aakar maine
Sach se nata jod liya
Bas aaj ke din se maine
Gudiya se khelna chhor diya
Jatin H K Sharma
No comments:
Post a Comment