Friday, October 4, 2013

Bhul gaye!!!

Neend se hume aisa jagaya
Ki rato ko sona bhul gaye
Itna paraya kiya aasuon ne
Ki apne hi dard mein rona bhul gaye

Moujudgi hume apni mehsus karaakar
Kaha gum ho gaye hume mohobbat sikhakar
Itna paraya kar diya, itna dur chale gaye
Kal hi hum unki yado mein basa karte the
Aaj achanak wo hume guzre kal ki tarah bhul gaye

Dhundhte reh gaye unko
Hum gharane mein apne
Dil mein aisi jagah jaakar chhupe
Ki apne ghar ka hi pata bhul gaye

Waqt ne kiya chot par marham
Par aadat si hai is kambaqth dil ki
Jo itna waqt zaya kiya uski yaad par
Ki apne waqt ki qadr karna bhul gaye

-- Jatin Sharma