Thursday, March 6, 2014

Phir Kyun

Phir Kyun
 
 ************************
Jab neend nahi aati thi
Usne lori sunakar sula diya
Phir kyun maine us Maa ko
Apni vyatha sunakar rula diya

Jab god bithakar, khub khilakar
Paath sikhakar bada kiya
Phir kyun maine us Maa ko
Apni vyatha sunakar rula diya

Mere har sukh ke liye usne
Jab saara jeevan luta diya
Phir kyun maine us Maa ko
Apni vyatha sunakar rula diya

Jab do pal ko bhi main uski
Aankho se ojhal hota tha
Mujhe yad hai tab kaise usne
Poori duniya ko hila diya

Mere ek ghaav ne bhi uski
Chinta ke diye ko jala diya
Phir kyun maine us Maa ko
Apni Vyatha sunakar rula diya

Vaada karta hun main
Tere har aansu ka karz chukaunga
Sailaab bhi aa jayega par
Maa tujhe nahi rulaunga
Kabhi nahi rulaunga...
 ************************

Jatin H K Sharma

No comments: